YouTube Par Zyada Subscribers Prapt Karne Ke Tareekon

YouTube Par Zyada Subscribers Kaise Praprt Karen?

Namaskar, Mera naam Manish Jaiswal hu,Main Aap sabhi ka TechGuruJi me bahut-bahut swagat Karta hoon. Aaj se aur Is article me main aapko bataunga ki aap YouTube par zyada subscribers prapt karne ke liye kya-kya kar sakte hain. Jab bhi ham kisi popular YouTuber ko dekhte hain, unse motivate hote hain, to humara bhi man karta hai ki hamara ek aisa hi channel ho jiske hazaron lakhon subscribers hon. Bahut se log motivate hokar ek YouTube Channel shuru bhi kar lete hain. Lekin ant me kya hota hai ki kuch din videos bnane ke baad, jab zyada subscribers nahi milte to adhiktar log haar maan lete hain aur frustrate ho jaate hain.
Isiliye un hard working YouTubers ke liye joki badhiya content create karte hain aur YouTube par zyada subscribers prapt karne ki bhi iccha rakhte hain, aaj main is article me unke liye hi, kuch khaas tips aur tareeke share karne jaa rhi hun.
Hamara YouTube pe iske related video niche dekhe

YouTube Par Zyada Subscribers Prapt Karne Ke Tareekon Ki List:

Apni Videos Ko Planned Tareeke Se hii Upload Karen. Ye ek aisi cheez hai jisko karne me zyadatar log fail ho jaate hain. Jaise aap Television par kuch serials dekhte hain to aapko pta hota hai ki kaun sa serial hafte ke kis din kitne bje aata hai. Usi prakar, aapke viewers ko bhi pta hona chahiye na ki aap kab-kab videos upload karte ho.
YouTube in sabhi cheejon ko judge karta hai aur aapki ranking ko tabhi Youtube video ko  recommend karta hai, jab aap regularly, planned videos ko upload karte hain. Matlab kehne ka ye hai ki aisa nhi jab man me aaya video upload kar diye aur kisi bhi topic par kar diya. Har ek cheez ka ek proper plan hona chahiye, aur aapko apne channel ko usi plan ke hisaab se chlana chahiye.

Attractive Aur Engaging High Quality Content Upload Karen

Yadi aap chahte hain ki aapka ek badhiya subscriber badhe, to aapko chahiye ki aap kewal aisi videos ko hii upload karen, jinka content high quality ho, jinse viewers ka kuch fayda bhi ho, unhe kuch naya seekhne ko mile. Copied content ya useless content ko upload karne se bachen. Aap
dekh sakte hain, jin bhi YouTubers ke channel ke subscribers lakhon me hain, unke channel par aapko bahut se useful videos mil jaynege. To aap bhi kuch aisa kijiye, jisse logon ko aapke channel ko subscribe karne kaa ek kaarn mile. Apni Videos ki Uploading Frequency Badhayen Ye ek aisa factor hai joki aapke subscribers ke growth rate ko kaafi had tak push kar sakta hai. Jo banda jitni zyada videos upload karta hai, YouTube ke algorithm ke hissab se uske views zyada badhte hain. Aur yadi aap quality videos hii upload karte honge, to aapke subscribers bhi badhte chle jayenge. Vaise bhi aap aam dekh sakte hain, jo log regulary 2-3 videos upload karte hain, unka susbcriber count bahut zyada hota hai.

Titles, Description Aur Tag Ko Optimize Karna Seekhen

Title aapki video ka vo sabse important part hota hai joki logon ko aapki video tak pahunchata hai ya fir logon ko uksata hai ki ve aapki video ko dekhen. Isi prakar Description aur tags bhi users ko aapki video tak pahunchne me bahut help karte hain. Aapke apne Title ko optimize karna aana
chahiye. Lekin is baat ka bhi dhyaan rakhen ki aapka title video ke hisab se ek dam theek ho. Kyonki yadi aap title to attractive dal denege, lekin video ka content bekar aur unnecessary hoga, to koi bhi aapke channel ko subscribe nahi karega.

Attractive Video Thumbnails Bnayiye

YouTube aapko aapki video ke liye Thumbnails customly upload karne ka option deta hai. To aapko YouTube ke is feature ka maximum fayda uthana chahiye. Aapko aise thumbnails upload karne chaiye, joki aapki video ko define bhi karte hon, aur logon ko us thumbnail ko dekhte hi aapki video ko dekhne ka man kare. Yadi zyada log aapki video ko dekhenge, aur aapka content bhi badhiya hoga, to aapke subscribers bhi badhte hii chle jayenge.
Annotations Ka Aur Media Graphics Ka Pryog Kijiye Aap apni videos me advanced video editing skills ko use karte huye, badhiya media graphics ka
use karte logon ko aapke channel ko subscribe karne ke liye alg-alg ways me prompt kar sakte hain. Iske ilawa aap YouTube ke On Screen annotations ka bhi use karke logon ko aapke channel ko susbcribe karne ke liye prompt kar sakte hain. Sahi Tools Ko Use Kijiye Aajkal aapke Channel kii Growth me help karne ke liye bahut saare tools ka bhi pryog kar sakte hain. Main aapko YouTube channel ko manage karne ke liye, ek bahut hii badhiya tool
recommend karunga jiska naam hai TubeBuddy.
Apne YouTube channel ke subscribers ko badhaane ke liye aap aur bhi bahut si cheezen kar sakte hain. Unme se kuch any important cheezen neeche btayi gayin hain:
1. Subscriptions ko promote karne ke liye aap apni videos me Intro Aur Outro ka pryog kijiye.
2. Time bounded videos bnayiye. Jaise kii 5 Minutes kii videos badhiya perform karti hain.
3. Samay-Smay par apni old videos ko edit kijiye ya fir naya updated video same topic par
upload kijiye.
4. Doosre YouTube Bloggers ke saath collaboration karke aap unke subscriber base ko bhi
apne subscriber base me add up kar sakte hain.
5. Zyada attraction aur subscription prapt karne ke liye aap Giveaway offers ityadi bhi run kar
sakte hain, but ye ek recommended cheez nahi hai.
Mujhe aasha hai ki upar btaye gaye sabhi points ko aap apne man me rakhte huye, apne YouTube channel par zyada subscribers prapt karne me safal honge. Yadi aapko hamara ye article accha lga ho to, ise social media ke zariye apne friends ke saath zaroor share kijiye aur yadi aapke man me iske related koi bhi question ho to aap comments me pooch sakte hain. Aise hi bahut se useful articles ko padhte rehne ke liye, aap Techguruji ko subsribe kar sakte hain [Youtube Channel] aur Blogging Tips-Tricks Aur Online Paisa Kmaane kii jankari ke liye, TechGuruJizaroor visit Karte Rahiye.

Comments

Popular posts from this blog

Ludo Victor Referral Code Paytm Cash Loot

जानें क्या है डिजिटल मार्केटिंग

Top 5 Best Free Recharge App For Android phone 2019 In Hindi